Aaj badla badla sa mera aks nazar ata hai........
Tamam umr guzar di jahan,
vo shahar sunsaan nazar aata hai!
Maloom nahin jana hai kahan,
ki har rasta anjaan nazar aata hai!
Rishto ke karvan me chalte the kabhi,
vahi har shakhs mujhse pareshan nazar aata hai!
Dekh raha hun khudko us mukam pe,
jahan mera kirdaar hairaan nazar aata hai!
Shayad yahi likha hai khuda ne anjaam mera,
ki aaine me ab mera aks nazar hi nahi aata hai!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

2 comments:
This one's amazing Amit ji...out of this world!
Keep it coming..
@ Anusha
i am actually indeed should be out of this world :-)
thanks for visiting
Post a Comment