Aaj maut ke bulave pe main zindagi jeene aagaya,
Qurbaton ne kiye faasle to mujhe duriyon me jeena aagaya.
Mera izhar-e-ishq jo unhe gawara na guzra,
unke inkaar me hi mujhe is ishq ko jeena aagaya.
Phir ek umr guzaar di unke intezar me,
aur har pal unki judaai me jeena aagaya.
Kal raat jo khwab bah gaye ashko ke naam,
Har subah unhe juthi hasi me jeena aagaya.
Maana tum ho par mere liye ab mumkin nahi,
Ishq ke isi andaaz me mujhe phir maut ko jeena aagaya.
Sunday, January 6, 2008
Tuesday, January 1, 2008
Aks
Aaj badla badla sa mera aks nazar ata hai........
Tamam umr guzar di jahan,
vo shahar sunsaan nazar aata hai!
Maloom nahin jana hai kahan,
ki har rasta anjaan nazar aata hai!
Rishto ke karvan me chalte the kabhi,
vahi har shakhs mujhse pareshan nazar aata hai!
Dekh raha hun khudko us mukam pe,
jahan mera kirdaar hairaan nazar aata hai!
Shayad yahi likha hai khuda ne anjaam mera,
ki aaine me ab mera aks nazar hi nahi aata hai!
Tamam umr guzar di jahan,
vo shahar sunsaan nazar aata hai!
Maloom nahin jana hai kahan,
ki har rasta anjaan nazar aata hai!
Rishto ke karvan me chalte the kabhi,
vahi har shakhs mujhse pareshan nazar aata hai!
Dekh raha hun khudko us mukam pe,
jahan mera kirdaar hairaan nazar aata hai!
Shayad yahi likha hai khuda ne anjaam mera,
ki aaine me ab mera aks nazar hi nahi aata hai!
Subscribe to:
Comments (Atom)
